Saturday, February 16, 2008

Panna...

ki gir jata hai haath se wo murjhaya hua panna...



puri umar samet ke, ek panna wo likh na saka
ki udhar ke palon me usne likha ek tarana
budhi ungliyon ke beech me jab laathi wo pakad na saka
dil ko dawaat me daal likha ek fasana...


"

TUTI THI NAAV JAB SAAGAR KE BEECH ME
TAIRAK WAHAN BAHOT THE, LOGON KI BHEED ME.

BHAAG RAHE THE CHHEEN SAHARA KINARE KI OR WO
KI CHHOD DIYA THA TUJHE SAGAR KI GOD ME

EK TARAF KINARA, eK TARAF TU
BAHOT SAAF HAI NAZARA DHUNDHLI AANKHON KI KAID ME

LAD AAYA MAIN WAHAN, KHADI MAUT THI JAHAN
KI CHEEN AAYA NIVALA, MAIN BHOOKE SHER KE MUH SE

TAIRA MAIN TAIRA, BAHOT DAIR TAK TAIRA
HAATHON MAIN TU OR BADAN PAR KUCH GHAV THE

KINARE NE KABHI ITNA NA TARSAYA
PAR BACHANE KO TUJHE HUM DIL SE MAJBOOR THE...

AGLE DIN JAB AANKH KHULI, CHHAYA ANDHERA DOPEHRI KI DHOOP ME
CHEER RAHI THI KAAN AWAAZEN ,KI BACHA LAYA THA "WO" TUJHE LEHRON KI CHAPET SE..
RO RAHA THA HAR EK AANSU KHUN KI TASVEER ME
KI SIMATI HUI THI TU WAHAN, USS BACHANE WALE KI GOD ME

"

rukti saanso ko baandh kar samay se ladta raha
bina palaken jhapkae wo panna dekhta raha
koi pahocha de ye khat uss tak shayad yahi ab usne maanga
par kho jaata hai bachhe se sabse pyara wo khilona
zindagi bereham hai, ki gir jaata hai haath se wo murjhaya hua panna...
ki gir jaata hai haath se wo murjhaya hua panna!!!!

2 comments:

Abhishek said...

nice yaar.....tu itna talented hai muje toh pata he nahi tha

Anonymous said...

Whoa!!!
cool man.loved the second post"panna"..lekin do post se kaam nahi chalega....u shud post more of ur creations online man....they are quite quite good!
Keep up the gud work...
:)