Friday, March 28, 2008

Sapna...

neeras uss pal me baitha...main jeevan dhoond raha tha..
main majboorion se toot..khud se lad raha tha...
umeed ek patta...aur samay pattjhad ..aise me tinka..paani dhoond raha tha..

kismat ki naav me... lehar chali kinare or
chod aayi wo saagar...har naav se naata tod...
sab mit rahe the ya mita rahe the...
or main...main ek door dhoond raha tha...
neeras uss pal me baitha..main jeevan dhoond raha tha....

hmmmmm.....ye kiski aawaz... uffff hai kitni mithaas.
arre ye kya...ye patta hara ho gaya...
abhi tha patjhad...abhi basant ho gaya..

ye lehar sagar ko chhod nahi...kinaaro ko jode rahi hai..
hawaein aag badha nahi..aag bujha rahi hain...

par..par ye hua kaise??......
do pal me duniya badal gayi jaise..

or wo aawaz..wo aawaz kahan gayi...
ghol gayi ras saare..duniya rangeen bana gayi....

hmmmm..shayad idhar ...naah.. shayad..udhar??..
wo aawaz kahan hai??
meri duniya badal gayi
wo mitthas kaha hai??

"chapaak!!" ye pani ki aawaz...kahin wo waha to nahi??
arrey wo lehron se khelti hui wo..dekho wo rahi...

tum!! to ye tum thi!!!
main pehele kyon nahi samajh saka...
mera jeevan badalne wali, tum hi to thi...
aah tumhara wohi jaadu...tumhaari wohi jhalk..
wohi gili gili jhuki hui...jannat liye palak...
bas tumhe ek baar or dekhne ki hasrat liye....shayd main sab kuch bhul raha tha
tumhare bina.. dekho main jeena bhool raha tha......

aaona paas me...

"tak-tak"....ohhhahhhahh...hoonhhh..ahh kya main so raha tha??
ahh...kuch der or...main tujhe or dekhna chahta hoon...
is sapane me main or jeena chahata hoon...
pal - pal ko jina sikha....pal-pal me ras ghol rahaa hoon....
main tujhe dekh raha tha....ab tujhe ji raha hoon...
main pyaar kar raha hoon!!!!!
fir se......main pyaar kar raha hoon!!!




---------------------------------------------------