main chalta raha khud se door .. chhod purane raaste
sabse juda ho chaal meri..kuch aisa muda har mode pe
chu lun har ek diwaar
koi kona anchua na ho
suljha lun har ek jaal
koi dor uljhi na ho
bina ruke, bina thame, har patthar pe naam likhta gaya
mita nahi kahin naam mera..kuch aisa rang tha siyahi me
ghutan bahot nahi khuli hava
dhul bhari har kone me
upar uthne ko yahan
gir gaya hun ghadde me
samakar sara samandar..apni pyas badata gaya.
haarta raha jab jab main jeeta..ki chain nahi hai chaandi me
noor koi mil jaae..
andhera door ho jaae.
bahot bheed hai yahan chaaro or..
ek shaant kinara mil jaae..
chal pada..chhod khud ko peeche..
ab apna bhaar saha na jaae..
bas jhoot joda hai ab tak
kuch yaar sachha joda jaae..
girte hue ko mila sahara..khuch aisi teri baanhe hain..
ghut-te hue ko mili hava...khuch aisi teri saanse hain..
pagal main bhaga idhar udhar
paane ko jo nashwar hai
dhund raha tha mandir kidhar
jab tera pyar ishwar hai..
main jaga raha raat raat bhar
par soya tere aanchal me
main ladta raha shor se harpal
or sangeet mila teri payal me..
main ghira raha darr se harpal
mehfoos hua tere haathon me
main bechain raha astitva se apne
par sukoon mila teri bahon me..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
wow!!
sukoon mila teri bahoon me :)
Post a Comment